abad wallah ya zahra -2012
hussain imam hussain teen shaaban sadaae qaunain marhaba salle ala hogaya zahoor e maula hussain aaghoshe fatema se husain aaghoshe risaalat me aaye hussain dekh ke nana ko muskurate hain magar ye kya huwa chashme rasoole akram se khushi ke wakt bhi aansu tapakte jaate hain sawaal kardiya zehra ne ay mere baba udaas kyun huwe kyun sogwaar hai chehra kaha rasool ne zehra mai khush huwa ye tera laal mere deen ko bachaega mein roya is liye zehra watan se door pyasa akela ghareeb ye mara jaaega aur us qayaamat me na mein na tum na ali honge na hasan hoga na koyi apna na pyara hoga kinare nehr ke be goro be kafan hoga tadap ke puchha nabi se hussain ki maa ne ke mere baba uspe kon royega kaha rasool ne zehra na fikr kar beti khuda ki samt se maujood ek kabila hai jo royega taa hashr uska waada hai jo na hussain ko bhulega na husain usko bhulega saare jahaan se unki musalsal sada hogi hussain waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya husseinun hubbuhu yamhul khataaya huwa nurul ladhi yuhdhil baraaya minhu lah badrul huda lan nensah tulil madaa abad wallah ya zehra ma nensa hussaina hallah hallah ya waliena ehna khiddamak je'na waada hai ye wallah ya fatema zehra waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina qasam allah ki wo jisne hame khalq kiya aur hame karbobala ke liye makhsus kiya ham wohi log hain wallah dua e zehra usne halmin jo kaha nasirin yansurna hamne labbaik kaha usne hamko na bhulaya hamne usko na bhulaya hussain hussain abad wallah ya zehra ma nensa hussaina hallah hallah ya waliena ehna khiddamak je'na waada hai ye wallah ya fatema zehra waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina azam allaho lakal ajra ali bil musiba ya hayder ya ali ya ali aapke har ranj o masaaeb ki qasam aapke gham ki hai makrooz ye nasl e aadam chauda sadiyon se musalsal hai azaa o matam go ke har chand huwe hath kalam paon kalam zaayer e karbobala ke na ruke phir bhi qadam azam allaho lakal ajra ali bil musiba ya hayder ya ali law qatau'u arjulna wal yadayne na'atik zahfa sayyidi ya hussain hussain hussain abad wallah ya zehra ma nensa hussaina hallah hallah ya waliena ehna khiddamak je'na waada hai ye wallah ya fatema zehra waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge hussaina ek waada hai jo shabbir se ham sab ne kiya ek waada hai jo shabbir ne bachpan me liya apne maa baap se nana se baradar se kaha aap sab mere azaadaaro ko kya denge sila bole sarkaar e mohammad mein shafa'at dunga bole haidar ke mein kausar ki bashaarat dunga aur hassan bole mein sardaar hun jannat dunga boli zehra tera waada hai shahaadat dunga mein bhi jannat me na rakkhungi qadam mere hussain jab talak khuld me jaaye na azaadaar e hussain hussain hussain abad wallah ya zehra ma nensa hussaina hallah hallah ya waliena ehna khiddamak je'na imam hussain waada hai hamara ya fatema zehra nahi bhulenge ya zehra aati hai fatema zehra ki sada ay azaadaaro suno ay azaadaaro na jab tum bhule bhul jaaye tumhe zehra kaise mujh pe kya kya na masaaeb toote mera do baar jala ghar logo mere pehlu pe ghira dar logo daagh e mohsin hai jigar par logo mujh ko darbaar bulaa kar logo kaata hai qalb e payambar logo nahi bhulenge ya zehra na mein abbas e alamdar ke baazu bhuli na mein zainab ka tarapta kisi pehlu bhuli gard aalood sakina ke na gesu bhuli na hi sajjad ke khoon rang wo aansu bhuli nahi bhulenge ya zehra apne bachhe ke rafiqon ko bichharta dekha khaaq par aun o mohammad ko tarapta dekha meine tukre huwe qasim ka janaaza dekha eriyaan khaaq pe akbar ko ragarta dekha meine asghar ka galaa teer me uljha dekha jis ghari laal mera zeen se reti pe ghira tera zarbo se mere saamne sar uska kata hussain hussain haay phir shaame ghareeba ne mujhe lut liya wo rida meri thi aadaa ne jise lut liya mein na bhulungi wo baazaar haaye wo shaam ka darbaar nahi bhulungi wo zindaan haay mera aabid e beemar zehra zehra zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge shabbir ki ghurbat ko neze pe tilaawat ko zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge abbas ko akbar ko qasim ali asghar ko zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge jalte huwe khaimon ko chhinti huwi chaadar ko zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge zainab ki shuja'at ko aabid ki qayaadat ko zehra nahi bhulenge hargiz nahi bhulenge abad wallah ya zehra ma nensa hussaina hallah hallah hussain wainah bis suyuf magta'ainah abad wallah ya zehra ma nensa hussaina |
|
ya Ali ya Abbas -2012ya Ali
ya Abbas wallah ya Abbas haayer shard e gul ya Ali ya Ali ya Abbas wo bik tizh il marjaley li seh tish hid Karbaley ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas ek Ali ye Murtaza ek Ali ye Karbalaya Ali ya Abbas haa wallah ya Abbas ya Ali kaho wallah ya Ghazi ya Wali kaho ya kaho ilm o alam ya kaho lauh o kalam kehdo dono ko Ali saiyadi mo'ttalabi hai yeh dono hi Ali dono hi Abbas ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas wo bik tizh il marjaley li seh tish hid Karbaley hai wo bik tizh il marjalab gid izzilim raaye takseemo khatat minakk azim bik tizh il marjalab gid izzilim raaye takseemo khatat minakk azim entaa aayaat aa’teefe o bikin bu al wafeh wo judak maayan qaas ya gheere, gheere, gheere ya Abbas ya Ali ya Abbas ek Ali ye Murtaza ek Ali ye Karbala ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas haa noor e do ain e Ali ye mahjabeen kuwat e jaan o jigar Ummul Baneen hai sakhi ibne sakhi ilmul yaqeen daste Haider ki anghuti ka nageen wo judak maayan qaas wole in haarelraas ya gheere, gheere, gheere ya Abbas ya Ali ya Abbas ek Ali ye Murtaza ek Ali ye Karbala ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas haa Allah Allah chala hhere jari ya Abal Fazl sada aane lagi aamad e misl e Ali uski aamad jo huwi aisa lehraya alam ukhde aadaa ke qadam dasht me dur talak rehgaya Abbas ya Ali ya Abbas wo bik tizh il marjaley li seh tish hid Karbaley ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas wallah ya Abbas haayer shard e gul haa wallah ya Abbas haayer shard e gul busfak inta tahyerat kulil uqul wazhat li yaa badar shems raasak mo qamar wole in haarelraas ya gheere, gheere, gheere ya Abbas ya Ali ya Abbas wo bik tizh il marjaley li seh tish hid Karbaley ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas haa bakhuda aisa alamdar kahaan saniye Haider e qarrar kahaan ye Alamdar e jawaan alawi azm o nishaan ye Sakina ka chachaa mashq jab bhar ke chalaa mashq pe teer laga rodiya Abbas ya Ali ya Abbas ek Ali ye Murtaza ek Ali ye Karbala ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas haa haa wo Abbas Ali ka beta chhidgayi mashq to phir kya ladta jaise hi paani baha uska khoon uspe gira laut ke ghar na gaya mashq pe sar ko rakha ya Sakina kaha aur so gaya Abbas ya Ali ya Abbas ek Ali ye Murtaza ek Ali ye Karbala ya Ali ya Abbas ya gheere yaa no maas ya Ali ya Abbas haa uske hain Sarwar o Rehaan gada hoke bedast jo karta hai ataa wo shehenshah e wafa Haider e Karbobala jiske parcham ki hawa sabko deti hai shifa marhaba marhaba sad marhaba Abbas ya Ali ya Abbas |
|
haaye saadaat-2012haaye saadaat haaye saadaat
haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha apni aankhon ko sadaa khun hi rota dekha jis gharane ne sadaa logon ko khusiyaan baati unko khushiyaan na mili gham hi ziyaada dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha wo mohammad ke jo rehmat hain zamaane ke liye unki naalain ko bhi khun me duba dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha sabz gumbad ke qareeb marqade zehra hai magar baap ne beti ki turbat pe na saayaa dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha rotiyaan maang ke jis dar se farishte jaaye eed ke roz bhi un batchon ka faaqaa dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha wo taqi ho ke naqi musiye kaazim ya raza sakhtiyaan qaid ki aur zehr ka pyaala dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha pusht pe jis ko bithaate the rasule akram us nawaase hi ka sar bar sare neza dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha jis ke baazu the rida zainabe kubra ke liye kaise bibi ne use baazu burida dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha subhe aashur dhali shaame gharibaan aayi tchaar pehron me qayaamat ko guzarta dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha gir gayi khaak pe gash khaa ke ali ki beti putchha sughra ne ke pardes me kya kya dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha ro diye sarwar o rehan jigar thaam ke ham jab azaa khaane me rakhaa huwaa jula dekha haaye saadaat ne is dehr me kya kya dekha |
|
ana ibne makka o mina -2012
bayaan karta hun darbaare shaam ka manzar jahaan the saath sau kursi nasheen fitna gar yazeed jham raha tha sharaab pi pi kar aur aisi bazm me afsos aale paighambar tha un ke samne ek bad kalaam mimbar par bayaan karta tha jhuthe yazeed ke johar jab us ne khatm ki taqreer bad kalami par khateebe jahal se bole ye aabide muztar ke tu ne khush kiya makhluq ko zarur magar khareeda qehre khuda tu ne mukhtasar zar par are jahaan ho zikre bad atwaar wo mimbar kab hai lakriyon ka hai wo ambaar wo mimbar kab hai kahaa yazeed se kuch main kahun ijaazat de yazeed chup tha to darbari saare kehne lage yazeed de de ijaazat ise bhi kehne de ye kya kahega larazta hai jo naqaahat se sambhaale tauq o rasan shaane kirdegaar aayi imaam aaye ke mimbar pe zulfiqar aayi ya hussain ya hussain ya hussain ya hussain jis ka mimbar tha wo hi bar sare mimbar aaya wo akela tha magar surate lashkar aaya lab kusha surate quraan wo haidar aaya jab wo khamosh zabaan bar sare darbaar chali karbala me na chali thi jo wo talwaar chali ana ibne makka o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema lehja e noor me mola ne kahaa bismillah laayeqe hamd o sanaa hai to wo hi ek khuda jis ne ham aale muhammad ko hai takhleeq kiya jis ko malum hai malum hai mera shajraa jo nahin jaanta wo sun le ta’arruf mera ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ham ko allah ne tchhe khubiyaan bakhshi bakhuda ilm aur hilm diya aur dile momin me rakhaa hai samaa'at wa fasaahat wa shujaa'at wirsa kam na thi khubiyaan tchhe jo ke ye izzat ke liye sifatain saath mili aur fazeelat ke liye ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ham me awwal jo the wo ahmade mukhtaar huwe koyi hamza to koyi jaafar e tayyar huwe ham hi haidar huwe abbase alamdaar huwe ham ko mairaje risaalat bhi imaamat bhi mili ham ko mehrabe ibadat main shahadat bhi mili ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema us ka farzand hun seh ruz raha jo pyaasa darmiyaan zeen o zameen jis ka raha tha laasha jis ke sajde ke sabab khaak bani khaake shifaa khaak aur khoon me duba tha amaama jis ka sume asb’ha tale ronda gaya laasha jis ka ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema ahle insaaf ab insaaf se itna keh de jis ki chaukhat pe salaami ko farishte utre nauke neza se laeen un ki ridaayen lute tum ne khaime nahin allah ka ghar khaak kiya kalma parh parh ke muhammad ka jigar chaak kiya ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema jis ke parde ke liye aayate tathear aayi sang barsaate huwe un pe yahaan tak laayi haif hai ruhe muhammad se na tum sharmaaye ham ne paabande rasan ho ke tujhe maara hai ibne marjaana tu jeeta to nahin haara hai ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema baat jab khul gayi saadaate muhammad hain yahaan ro diye ehle jafaa ubhra baghaawat ka samaan aur isi shor me haakim ne diya hukme azaan saat afraad jo yek mosht azaan dene lage haq me sajjaad ke darbaari bayaan dene lage ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema jab mo'azzin ne kiya kalma e takbeer adaa bole sajjaad buzurgi hai usi ko ziba jaise hi naam muhammad ka mo'azzin ne liya mur ke haakim se kaha tere iraade bad hain ye muhammad hain tumhare ke hamaare jad hain ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema aib kyun apne chupata hai azaanen de kar the agar tere muhammad to sitam kyun ham par daal is tauq pe zanjeer pe ek baar nazar zakhm jo tu ne diye sab dile bimaar me hain betiyaan hain ye muhammad ki jo darbaar me hain ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema tu to kehta hai ke hai dhong na'uzobillah na payambar na wahi aayi na qur’aan utraa phir azaanen bhi tu darbaar me hai dilwaata le munaafiq tere chehre se utarti hai naqaab jis ka munkir hai wo qur’aan tera lega hisaab ana ibne makkah o mina ana ibne zamzam o safa ana ibne ali o fatema is shaqaawat pe bhi ham haare nahin jeet gaye naam azaanon me tumhaare nahin ham jeet gaye kya ye qudrat ke ishaare nahin ham jeet gaye yek ba yek fathe mobeen sab ko nazar aane lagi marhaba sayyade sajjaad sadaa chhaane lagi bole phir aabide bimaar ye izzat dekhi dekhi ye takhte sitamgaar ye izzat dekhi phir gayaa tujh se ye darbaar ye izzat dekhi jis ka haami ho khuda kaun use zillat de izzaten us ki hai allah jise izzat de haaye hussaina haaye hussaina utre mimbar se to baba ke kate sar ne kahaa marhaba ay mere sajjaad ghareebe zehra mo'jiza sarwar o rehan falak ne dekha khutba e zainab o sajjaad ne wo kaam kiya hashr tak zikre hussain ibne ali aam kiya |
|
Zainab ka hai armaan-
|
|
fizza ye dua karna-2012allah na dikhaawe
fizza ye dua karna allah na dikhaawe shala kise bibi te inj wakht na aave ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton fizza ye dua karna ek rassi che tu fizza sang mede bandhi rayi he har zulm layina da mede naal tu seh gayi he ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton hae babe diya zakhman to ambdi diya darda ku sabbar de janeze te wasde hoe teeran ku ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton gum auno mohammad da qasim da te akbar da asgaar da sakina da sajjad te baqir da ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton jado vi katal hoya mai vekhdi rai manzar koi maarda si pathar koi teer koi khanjar ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton gham shame ghariba da hae pyase yatima da ghazi diyan bavan da rondiyan ridavaan da ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton hae sadma ye bada mainu kulsoom rokaiya da asghar di dukhi ma da laila da te farwa da ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton ta hashr nai bhulne maiku dard bazaaran de ham fizza mai kufa gai ghustakh nigavan de ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton hae nai bhulna sakina da zindan de vich rona darwaze te beh beh ke babey nu sada dena ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton jawwad te sarawar ye fizza diya hawale edesain kafan vich vi inj ditiyan sadavan ne gin gin ke mai thak pai han ginr ginr ke mein thak payi an is dil de agardaton fizza ye dua karna allah na dikhaawe shala kise bibi te inj wakht na aave |
|
qaidi hun mein baba jaan -2012qaidi hun mein baba jaan
ab shaahzaadi kahaan qaidi hun mein baba jaan ab shaahzaadi kahaan na apna wo ghar hai na apna madina wo baahein tchachaa ki tumhaara wo sinaa bolo khudaara tum ho kahaan mein kahaan qaidi hun mein baba jaan jis din se tumse judaa ho gayi hun dekho to baba mein kya ho gayi hun ujra makaan hai rehti hun ab mein jahaan qaidi hun mein baba jaan kehti na thi dekho na jaawo baba taras khaawo mujh par taras khaao baba tum kya gaye ho mujh par ghira aasmaan qaidi hun mein baba jaan jaise hi neze pe tum aaye baba maine tamaache bohot khaaye baba rukhsaar par hain abhi tak sitam ke nishaan qaidi hun mein baba jaan maanga kaneezi me baba kisi ne phenka meri samt sadqa kisi ne paidal chali hun kaanton ke mein darmyaan qaidi hun mein baba jaan milne ko ham se tchale aawo baba ek baar tchehra dikha jaawo baba ay pyaare baba phir ham kahaan tu kahaan qaidi hun mein baba jaan tchalo shaam tchalte hain rehan o sarwar vahaan dekhna kya hai tchehlum ka manzar bibi sakina karti hai ab tak fughaan qaidi hun mein baba jaan ab shaazaadi kahaan |
|